Wednesday, October 29, 2008

SAYA (Hindi)

saya hun tera har pal chalti hoon saath tere...
mana ke raat ka andhera mujhe nigal jayega...
magar ye na samajh ke mai chali gai...
ke jab bahi suraj chamkega tu mujhe phir vahin payega..

aree nadan kyun judai ki soch raha hai...
saya bhi kabhi kisika sath choodta hai...
jism se ruh ka bhale ho rishta nazuk...
par saya jism se rishta nahi todta hai...

kal ko kisna dekha hai chookar....
kal ka khayal to bas ak khwab hai...
jeene se kyun darta hai maut to sabko ani hai...
jeele khulke zindagi ke jo bhi hai woh aaj hai...

tu kyun nakam koshishen karta ja raha hai..
tu kyun mujhse peecha chudane pe ada hai...
samandar ko sahil tak phonchna hi padta hai...
tu kyun usse majhdhar me roke khada hai...

kyun duur jane ke jane ki baton se dara raha hai...
haath chudakar mujhse kahan jayega tu...
hazar rahen mudkar dekh lena...
har rah pe mujhko khada payega tu...

No comments: