Gar meri nigahon se tum dekh pate
To dil me kya hai yeh khud jaan jate
Gar aakhon se akad ka parda utate
To dil me kya hai yeh khud jaan jate
Na uljhano me khud ko jakde khade hote
Na soch ki geherai me dube pade hote
Do pal jo phursat ke saath bitate
To dil me kya hai yeh khud jaan jate
Chahat hai tumhe bhi kyun mante nahi
Khud ke dil me kya hai kyun jante nahi
Khud se khud ko jo na tum chupate
To dil me kya hai yeh khud jaan jate
Dusron se puchne ki zaroorat na padti
Khud hi se jujhne ki zaroorat na padti
Apni dhadkane jo sun tum pate
To dil me kya hai yeh khud jaan jate
No comments:
Post a Comment