Wednesday, October 19, 2011

Kashmakash

Har zarre me tera ehsaas hai, Har mehek me teri khusboo
har dua me tera naam hai, har lamhe me teri arzoo
yeh kaisi zid hai is kambakht dil ki jalte jane ki
yeahi sawal zehen me gunjhta hai
kyun daman tera mujhse chutta nahi

Jiye ja rahe hain andekhi yadoon ke sahare
Ankahe ansune tere wadon ke kinare
Guftagu karte hain teri ankhon se har pal
Yeh kaisa bharam hai jo tutta nahi
kyun daman tera mujhse chutta nahi

yunhi bewajah hi kabhi muskurataten bunte hain
jo kabhi sang gungunayeh the jab woh dhune sunte hain
kyun sunai deti hai bite dino ki ahaten ab bhi
yeh kaisa bandhan hai to tut ta nahi
kyun daman tera mujhse chutta nahi

Dil jala hain zakhmi huya hai teri baaton se
phir malham bhi paya hai tere unhi haanthon se
tune lakh koshishen karke dekh li
par yeh nadan hai ke tujhse roothta nahi
kyun daman tera mujhse chutta nahi

zindagi aage nikal aai hai hume piche chodke
mazilon ko badti ja rahi hai dil se muh modke
aa gaya hai wakht mere bhi aage badne ka
par yeh paon hai jo badne ko uthta nahi 
kyun daman tera mujhse chutta nahi

yeh zindagi badal rahi hai rahen apni 
waqt phaiyae kahad hai mere liye bahen apni 
par mai aab bhi usi sawal me ulzhi kadi hoon
kyun jawab iska mujhse bujhta nahi
kyun daman tera mujhse chutta nahi

No comments: