Thursday, August 25, 2011

INSAAN

Dharti banti nadiyan bante, bante granth puran
Jab bacha nahi kuch bantne ko to bhant diya bhagwan
Itrakar jisko kehete tha tu shrishti ki shaan
Aye duniya banane wale kya hai yahi tera insaan???

Jaati Dharm Mazhab ke naam par har taraf hai hahakar
Satya Ahinsa Aman Shanti, har shiksha hui bekar
Dharti roye khoon ke ansoon, tu dekh khada bejaan
Aye duniya banane wale kya hai yahi tera insaan???

Desh ke neta bhi kamal hain, karte hain wade hazar
Khuch nahi, hain dhakosle saare, bas hai satta ka pyar
Lakhon janta bhikhi marti, par yeh khayen pakwan
Aye duniya banane wale kya hai yahi tera insaan???

Kamiyabi ki sidhi chadne baas kate hain gale do chaar
Life me bas hai ek hi funda "jane bhi do yaar"
Bech khayenge desh ko sare bas paisa inka eeman
Aye duniya banane wale kya hai yahi tera insaan???

Dakhile se Pension dene tak rishwat khate sarkar
Beimani hai jad tak phaili hai sabko yahi bukhar
Naas naas me curruption bhage phir bhi kahe desh mahan
Aye duniya banane wale kya hai yahi tera insaan???


So gayi atmayen sabki, na hi kare zameer chuitkaar
Khada tamasha dekh raha yeh sara jag sansaar
Karname dekh in insaanon ke sharma jaye haiwan
Aye duniya banane wale kya hai yahi tera insaan???

Jagegi manavta ek din yeahi kar kar intezar
Din mahine saal hain beete, hain sadiyan ho gai paar
Badal gai yeh shrishti sari kab badlen yeh beiman
Aye duniya banane wale kya hai yahi tera insaan???